Top Ad unit 728 × 90

Tech Baba News वेबसाइट पर आपका स्वागत है |

Breaking News

TechNews

Internet Se Paise Kaise Kamaye Online Paisa Kamane Ke asan 7 Tarike

 

Internet Se Paise Kaise Kamaye Online Paisa Kamane Ke asan 7 Tarike

Internet se paise kaisay kamayen, Internet se paise kesayen aaj kal har insan internet se pasiay kamana chata hai lakin us ko koi tarika kar samaj main nai aata k wo internet se paisay kesay kamaye aaj main ap ko esay koch tariky btao ga jis se ap log asani se internet se paisay kama sakty hain.


Internet se paisay kamana asan tab hota hai jab ap log us main mehnet karty hain tab ja kar us main asani paida hoti hai agr koi ye soch raha hai k wo internet se bagair mehnet se paisa kama lay ga to us ki ye galat fami hai. Is main ap ko mehnat zaroor karni parti hai han ye bat alag hai k koch mehnat ap ko jismani hoti hai jesay log kam karty hain din pura mehnat karty hain tab ja kar rat ko un ko din ki mehnat ka silla milta hai lakin yahan mehnat ap ki jismani kam aur dimagi ziada hoti hai tab ja kar internet se pasia kama sakty hain.


Internet se paisay kamany main ap ko sab se pailay kis cheez ki zaroorat hoti hai paily ham wo cheez ko daikhty hain. Us main ap ko sab se pailay ap k pas smartphone, labtop ya pc ka hona lazmi hai aur is k sath ap ka internet connection b lazmi hai tab ja kar ap log kam start kar sakty hain. Lakin bat ye a jati hai k akir ham esa kya kam kar sakty hain k ham internet se paisay kama saken to dosto wo main ap ko btao ga k ap kesay kama sakty hain.


How to earn money online from the internet:

How to earn money online from internet, agr ap log is cheez ko google pe search karen to bahot si website open ho jaen gi jis main ap ko bahot se tarikay bataye jaen gay lakin main ap ko asan tarikay btao ga jis se ap log online internet se paisay kama sakty hain.


Hamhen ye bat apny dimagh main rakhni ho gi k internet se paisay kamaye ja sakty hain koch log ye sochty hain ye nai ho sakta lakin ye hota hai log internet se hazaron nai balky lakhon rupay kama rahy hain lakin bat phir woi aa jati hai k mehnet ki un logon ne bahot mehnet ki hoti hai agr ap log b mehnet karen gay to ap b un ki taran lakhon rupay kama sakty hain kya ap log mehnat karna chaty hain agr hain to ap in main se koi b aik topic ko select karna hoga jo ap ko asan lag jis main ap easily kam kar sakty hain, aur ap ne mehnet ki to ap ko is ka bahot faida honay wala hai wo ap is article ko lazmi end tak paren kya pata jo kam ap kar sakty hain wo akir main ho to ap ko end tak lazmi parna chaiye.



Mai Kitne Tariko Se Online Paise Kama Sakta Hu?

1. Blogging (Website)

2. YouTube Par Video Uploading

3. Online Author

4. Online Teaching

5. Designing Template (Themes)

6. Sell Your Old and New Product

7. Freelancing 


Mai Internet Se Kitne Paise Kama Sakta Hu?

Main internet se kitnay paisay kama sakta hon, ye sawal ap k zehan main aya hoga to main ap ko batata ho k ap internet se kitnay paisay kama sakty hain, to dosto ye ap ki mehnat pe depand karta hai k ap kitni mehnat karty hain laikn main itna zaroor baton ga agr ap kahen pe job karty hain to ap ko lazmi 8 hours duty karni parti hai aur ap k month k end main salery milti hai lakin is mai ap ko daily ki aur monthly ki salery milti hai agr ap wahan 8 hours kam karty  hai yahan ap ne 3 se 4 hours b kam kiya to ap ko us se double salery mil sakti hai ap ko shuro main bahot mehnet karni hoti hai bad main mehnat km aur salery ziada ho jati hai.




7 Ways: Internet Se Paise Kaise Kamaye - Full Information in Hindi

1. Blogging (Website)

Sub se paila number Blogging ka hai jo asan b hai aur is se paisay b achy ap kama sakty hain, ab ap ke zehan main aik sawal a raha hoga k akhir blogging hai kya cheez, to dosto blogging ka matlab website hota hai jis main ap ne apny article post karny hoty hain aur jab ye blog koch traffic lay ata hai to ap is ko google Adsense se approved karwa kar paisay kama sakty hain. 


Ab sawal ye paida hota hai k ham blog kesay bnaye to us k liye main ne aik post likhi hoti hai ap us ko read karen jis main main ne blog banany ka tarika details se bataya hoa ho us post ka link ap ap ko nichay mil jaye ga. 


https://izharmughal.blogspot.com/2021/12/how-i-can-start-blogger.html

https://izharmughal.blogspot.com/2021/11/how-to-make-blog-quick-easy.html

 

Ap post to parhen gay lakin main ap ko batata ho k ap free main blog banayen jis main ap ko koch b paisay lagane ki zaroorat nai hai wo bilkul free hai, ok ap ne blog bna liya ab agay karna ye hai k ap ko us main daily ki post likhni hogi.

Post kesi honi chaiye?


Post kesi honi chaiye, ye sawal b ap k zehan main a raha hoga to dosto ap ne esi post likhni hai jo kisi ne na likhi ho, ab ap soch rahy hain esi post kesay mumkin hai to dosto wo mumkin hai wo is taran k ap ko kisi b cheez ka knowledge hai to ap us ko dosto k sath share kar sakty hain laikn likha ap ne khud hai,.


Kyun k google woi cheez rank Karta hai jo new ho, g to dosto ap post ko likhen gay aur index Karen gay to google us post ko read Karta hai agar ap ki wo post google ko unique lagti hai to ap ki post ko google rank Kary ga jis se ap ki website pe traffic aye gi aur Ziada earning hogi.


https://izharmughal.blogspot.com/2021/10/blog-kesay-likhte-hain-in-urdu.html



Blogging Se Kamayi Kaise Hogi?


Ap ne aik blog bana liya us k bad post b dail d ap ko rozana post karty rehna hai jab ap ko posts 25 to 30 index post ho jayen gi phir ap log google adsense k liye apply karna hoga us k bad agar google adsense ap ki aproval day deta hai to ap ki earning start ho jaye gi.



Blogging Se Kamaye Gaye Paise Hume Kaise Milte Hai?


Blogging se kamaye gay paisay hamen kesay milty hain, jab ap log google adsanse main 100 dollers se upar earning kar lay gay to ap ne us ko apny kisi bank account se connect kar lena hai google adsanse ap ko har month pay karta hai jitni ap ki earning hogi. Ap log blog post wali post paren gay to ap ko us main pata chal jaye ga k ap ne kesy bank account connect karna hai sab details us main hai.


https://izharmughal.blogspot.com/2021/09/domain-and-hosting-how-to-buy-domain.html



2. YouTube Par Video Uploading

Second number pe hai youtube par video uploading karny se ap paisay kama sakty hain. Jis taran ap ne aik blog website banai hai usi taran ap ko apna aik youtube channel b banana hai ap us pe ap ne daily videos bana kar upload karni hai is se ap ko earning hogi. Jesay role blogging main tha k ap ne apna content dalna hai usi taran yahan b ap ko apni video hi dalni hai kisi aur ki video dalo gay to ap ka channel remove ho jaye ga. Earning shuro honay se pailay hi band ho jaye gi, na ap ne kisi ka music use karna hai na kisi aur ki video dalni hai ap ne apna khud ka content dalna hai jis cheez main ap expart han us ki video bna kar ap ne apnay youtube channel pe dalni hai ap us k sath apni voice b dalni hai. Shuro shuro main ap ko muskal lagta hai lakin ap ne agar mehnet ki to ap is se achi kahasi earning kar sakty ho.

https://izharmughal.blogspot.com/2021/12/how-i-can-start-youtube.html



YouTube Se Income Kaise Hoti Hai?


Youtube se income kaise hoti hai, dosto ap ne apni videos bana kar apne youtube channel pe dalty rehna hai jab ap k 1000 subscraber ho jaen gay aur 4000 ganta watch time complete ho jaye ga to ap apne channel ko google adsanse k liye apply kar sakty ho aur google adsanse na agar ap ka channel monitized kar dia to ap ko videos pe ads ana start ho jaye gay aur ap ko earning start ho jaye gi.



YouTube Se Kamaye Gaye Paise Kaise Milte Hai?


Youtube se kamaye gay paisay hamen kesay melty hain, jab ap log google Adsense main 100 dollars se upar earning kar lay gay to ap ne us ko apny kisi bank account se connect kar Lena hai google Adsense ap ko har month pay Karta hai jitni ap ki earning hogi. Ap log how i can start a youtube channel wali post paren gay to ap ko us main pata chal Jaye ga k ap ne kesy bank account connect karna hai sab details us main hai.


https://izharmughal.blogspot.com/2021/12/how-we-make-money-online.html



3. Online Author


Online author, ye aik un dono se alg topic hai is main ap ko apni skill show karni hogi matlab ye k ap ko agr koi ata hai shyeri, writing, poem likhna story, in main se ap ko koi b skill aati hai to ap is se achi khasi earning kar sakty hain matlab ap ko story likhna bahot pasand hai aur ap ko us ko likhna acha lagta hai to ap us ko kisi b jaga likh kar print karwa kar sell kar sakty hain us ko pdf bana kar sell kar sakty hai aur aik bat agr ap is ko blogging pe use karen to sab se best hai wahan log ap ko website se rukay rahen gay ap ki earning ziada honay k chances hain. Aur bahot si website hain jo ye chati hain k koi un ko story likh kar day aur wo us ko payment karen. Is taran ap us se earning kar sakty hain.


4. Online Teaching

Online teaching, agar ap parhy likhy hain aur ap ki koi job nai hai to ap online teaching kar sakty hain ap ka koi b faverote subject hai ap us ko parha kar paisay kama sakty hain. Bahot se student online parna chaty hain chaty hain un ko acha teacher nai milta to ap un ko online parha kar earning kar sakty hain. Student ap ko pay karen gay. Is skill main ap acha parha likha hona lazmi hai warna ye kam nai ho sakta.



5. Designing Template (Themes)

Designing template, ye aik skill wala kam hai. Sab se pahly ap ko samjna hoga k ye template cheez kya hai. Template ka matlab theme hai ap mery blog ko open kary hai jo ap ko dikh raha hai woi us ka theme hai ap ne mobile rakha hoa hai to ap ne b us main koi na koi theme set kar k rakha hoga jo ap ko acha lagta hoga. Ab bat karty hain ye theme kesay design kia jata hai to dosto is main computer ki language use ki jati hai

( Python. Java. Ruby/Ruby on Rails. HTML.JavaScript. C Language. C++ C#

Objective-C. PHP. SQL. Swift).

Ye sab computer ki language hain in sab ko use kar k theme design kia jata hai ager ap ko in main se koi b ati hai to ap designing kar sakty hain warna nai, agar ap designing karnay ka shok rakhty hain to ap ko in sab language ko sikhna hoga. Aur agr ap ko teacher koi nai milta to aaj ka sab se barha teacher youtube hai jis se ap asani se sikh sakty hain aur is ko designing main use kar sakty hain ager ap ne ye language sikh li hai to ap kisi b software company main jobs b kar sakty hain aur apnay khud k software bana kar sell b kar sakty hain ye bahot hi tuff topic hai mager mehnat karny lago to koi mushkal nai hai.


Designing Kar Ke Paise Kaise Kama Sakte Hai?


Designing kar ke paise kama sakty hai ap logo ne apni khud ki designing karni hai aur us ko diffrent companies ko sell karna hai wo ap ko us ko payment karen gi. Koch companies check ya bank k throw payment karti hain 

 

6. Sell Your Old and New Product

Sell your old and new product, ager ap k pas koi dukan hai to ap log internet ka use kar k ap log apni product sell kar sakty ho, ager ap k pas koi dukan nai hai to phir ap kya karo gay??

To dosto ap kisi aur ko product sell kar k paisay kama sakty ho, kesay ???

Internet pe bahot si website hain jo apni product sell karwani hoti hain jin main amazon, Alibaba, aur bahot si companies hain jo apni product sell karwati hain aur jo sell karta hai us ko commission deti hain. 


Digital Marketing

Digital marketing, is kam lo internet ki zuban main digital marketing kehty hain k kis ki koi product ap sell karwaty hain ap digital marketing karty hain jo k asan b hai aur muskal b hai asan is taran k ap k pas ager koi website hai jis main acha khasa traffic aata to ap us de digital marketing asani se kar sakty hain, misal k tor par pa ne aik pruduct li jis se dill ki bimari ya colestrol kam ho sakta hai ab ap ne karna kya hai ap ne apne blog pe aik post likhni hai health k bary main aur ap ne bahot koch likhnay k bad ap ne last main us product ka link dal dena hai aur sath main likh dena hai if you want to buy this product then click here to ager koi banda ap ka article parta hai aur us ko feel hota hai k us ko wo product lena chaiye to click kar k wo zaroor daikhy ga. Aur shyd wo buy b kar ley to is tran ap ne digital marketing se paisa kamana hai. 


7. Freelancing


Freelancing, ye aik esa topic hai jis pe jitni bat karo km hai lakin main ap ko koch basics cheezen btao ga. Freelancing ka matlab ye hota hai ap ne khud se order lena hai aur us ko pura kar k us se paisay lany hain, misal k tor par main ne aik ads dia k mai ye kam kar sakta hain aur logo ne wo ad daikha to uno ne muj se rabta kia aur muj se kam karwa kar muje paisay diye to is ko freelancing kehty hain, ab bat aati hai internet se freelancing kesay karen? 

Dosto sab se pailay ap ne aik kam karna hai wo ye k ap ne ye daikhna hai k ap ko kam kya aata hai jo ap logo ko kar k day sakty ho. Ap ne soch liya k ap ko ye kam aata hai to us k bad ap ne ye karna google pe likhna hai freelancing to ap ko aik website freelaning ki milay gi to ap ne us pe apna account aur apny skill k hisab se gigg banani hai. Aur jab kisi insan ko wo kam jo ap kar sakty ho  karwana hoga to wo ap se rabta zaroor kary ga is taran ap is se apni earning kar sakty hain.


Internet Se Paise Kaise Kamaye Online Paisa Kamane Ke asan 7 Tarike Reviewed by Izhar ul haq on December 24, 2021 Rating: 5

No comments:

Crazy Sports All Right Reseved |

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.