Blog kesay likhte hain in urdu pk jobs
Blog kesay likhty hain in urdu
Dosto main ap ko aaj btao ga k ap blogger pe post kesay likho gay aur us ko publish kesay karo gay
blog main post likhna bahot hi asan hain lakin us main ap ko Koch cheezon ka khyal rakhna parta hai wo cheezen ham is article main discuss Karen gay to dosto shuro kartay hain
Blog kesay likhty hain
Dosto jesa k aap ko pata hai kisi b post ko likhnay say palay ap ko sab say ziada zaroorat hoti hai Title ki, Title aik esi cheez hain jo ap k reader ko apni taraf atrect karti hai,
Main ne Title likha Blog kesay likhty hain asal main yeh mera Title hai is Title ne ap ko is post ko open karnay k liye majboor kia hai. To Dosto main ap ko Title ki hamiyat samjany k koshish kar raha ho umeed karta hon ap samj rahy hon gay. Ap ka Title jitna acha ho ga ap ki post utni hi jaldi Rank kary gi. ok
Blog ap blogger aur wordpress pe likh sakty hain main ap ko blogger pe blog likhna seekhaaon ga
Blog unique hona chiye
Dosto ap jo b post ya blog likho gay wo hameshan unique hona chaiye
Meray bahot say bahion ko pata hoga unique ka lakin koch meray bahion ko is ka pata nai hoga k unique kya hota hai G to dosto Unque ka matlab ye hai k ap jo b blog likh rahy ho wo ap ka apna ho aur ap ne aur kisi jaga say is ko copy paste na kia ho, jab ap ka blog orignal aur unique hoga tab Google ap ki post ko Rank kary ga,
Post ko rank kesay karwaen
To dosto post ko Rank kesay karwaen to dosto Rank karwanay k liye ap ko Orignal aur unique acha Title post main esay keyword use karnay hain jis say ap ko post jaldi se rank Kary
Post ki SEO kesay karen.
Post ki SEO karna easy hai ap meri post parh rahy hain is main main apni post ki SEO b kar raha hon ap Parh rahy hain main keyword b use kar raha hon sath main Heading b likh raha hon aesay hi Ap ne jab blog likhna hai to us main keyword use karny hain aur Heading esay dalni hain jo ap k Topic say related ho. Ye na ho ap ka Topic koch aur ho aur ap likh kisi aur cheez k bary main hon.
Write a blog in English, Hindi, Urdu
Dosto ap ko blog likhna hai to ap ko ye nai k ap English main likhne ap us ko apni zuban main likh sakty hain agr ap ko English Theek se aati hai aur jis Topic pe ap likhna chaha rahy ho us ka achay say knowloge hai to ap English main b likh sakty ho. ap jo b language use Karna Chao ap kar sakty ho.
Is main koi problem nai hai.
Writing post
Ap ne karna koch is taran hai k ap ko sab se pehly blog open karna hai aur wahan pe new post likha hua hoga us pe click karna hai aur aik page open ho jaye ga us main bahot se options hai. Is main sab se phly compose view aur html view wala option hai aur phir undo and redo wala option hai. Is main ap language b select kar sakty hain font b apni marzi ka rakh sakty hain aur text ko chota aur bhara kar sakty hain is main Heading, sub Heading sab koch day sakty hain.
Dosto ye thi easy Tips umeed karta hon ap ko pasnd aai hon gi
if you like share it with your friend and family members.
Blog kesay likhte hain in urdu pk jobs
Reviewed by Izhar ul haq
on
October 24, 2021
Rating:
No comments: